ajiib sub.h thī dīvār o dar kuchh aur se the
nigāh dekh rahī thī ki ghar kuchh aur se the
vo āshiyāne nahīñ the jahāñ pe chiḌiyāñ thiiñ
shajar kuchh aur se un par samar kuchh aur se the
tamām kashtiyāñ mañjdhār meñ ghirī huī thiiñ
har ek lahar meñ bante bhañvar kuchh aur se the
bahut badal gayā maidān-e-jañg kā naqsha
vo dhaḌ kuchh aur se the un pe sar kuchh aur se the
mire halīf mire saath the laḌā.ī meñ
har ek shaḳhs ke tevar magar kuchh aur se the
ka.ī paḌāv the manzil kī raah meñ 'tābish'
mire nasīb meñ lekin safar kuchh aur se the