aaj kuchh sūrat-e-aflāk judā lagtī hai
dekhtā huuñ tirī jānib to ghaTā lagtī hai
zindagī ham tire kūche meñ chale aa.e to haiñ
tere kūche kī havā ham se ḳhafā lagtī hai
shab kī aahaT se yahāñ chauñk gayā hai koī
ye bhī shāyad mire dil hī kī ḳhatā lagtī hai
maiñ zamīnoñ kī lakīroñ meñ ulajhtā kaise
āsmānoñ se mirī gardish-e-pā lagtī hai
kyā milegā tujhe mele meñ bhaTakne vaale
in dukānoñ meñ faqat ek sadā lagtī hai