makāñ se duur kahīñ lā-makāñ meñ baiTh ga.ī
badan kī aag tilismāt-e-jāñ meñ baiTh ga.ī
sulagtī dhuup meñ jal kar faqīr-e-shab tirī ḳhaak
kyuuñ ḳhān-qāh-e-shab-e-be-karāñ maiñ baiTh ga.ī
kyuuñ aaj dil ke haram meñ namāz-e-ġham na huī
kyuuñ ek chup sī sadā-e-azāñ meñ baiTh ga.ī
hamārī sub.h hujūm-e-balā kī nazr huī
hamārī shaam bhī dasht-e-gumāñ maiñ baiTh ga.ī
kisī kā jism shikār-e-nahañg-e-vaqt-e-ḳhizāñ
kisī kī saañs fazā-e-girāñ meñ baiTh ga.ī
kahīñ safar kī risālat kahīñ thakan kī hadīs
ye kashmakash bhī 'rashīdī' dhuāñ meñ baiTh ga.ī