vahshat-e-ġham meñ achānak tire aane kā ḳhayāl
jaise nādār ko gum-gashta ḳhazāne kā ḳhayāl
is mohabbat meñ hadaf koī bhī ban saktā hai
is meñ rakkhā nahīñ jaatā hai nishāne kā ḳhayāl
vo kabūtar to usī din se mire jaal meñ hai
jab use pahle-pahal aayā thā daane kā ḳhayāl
maiñ kināroñ ko kabhī dhyān meñ laatā hī nahīñ
lutf detā hai mujhe Dūbte jaane kā ḳhayāl
marne detā nahīñ maiñ bādiya-gardī kā rivāj
maiñ na.e ishq meñ laatā huuñ purāne kā ḳhayāl
ai ḳhudā mere muqaddar meñ vo sajda likh de
jis meñ aa.e na mujhe sar ko uThāne kā ḳhayāl