ghar bulātā hai kabhī shauq-e-safar khīñchtā hai
dauḌ paḌtā huuñ mujhe jo bhī jidhar khīñchtā hai
is tarah khīñchtī haiñ mujh ko kisī kī āñkheñ
jaise tūfān meñ kashtī ko bhañvar khīñchtā hai
kaise mumkin hai bhalā chāñd na dekhe koī
husn kāmil ho to phir ḳhud hī nazar khīñchtā hai
shaam Dhalte hī terī samt chalā aatā huuñ
jaise bhaTke hue panchhī ko shajar khīñchtā hai
us ke kūche se guzarne kā sabab hai tāsīr
ek jhoñkā sā hai ḳhushbū kā idhar khīñchtā hai
shauq kī baat hai varna suḳhan āsān nahīñ
ek misra.a bhī miyāñ ḳhūn-e-jigar khīñchtā hai