koshish zarā sī kī jo duāoñ ke saath saath
jalne lage charāġh havāoñ ke saath saath
nikle bahār oḌh ke kuchh ḳhushnumā badan
ḳhushbū bhī ham-safar hai qabāoñ ke saath saath
chehra-kushā huā hai koī gesuoñ ke beach
lagne lagī hai dhuup bhī chhāñv ke saath saath
shahroñ se muḳhtalif haiñ ye gaañv kī laḌkiyāñ
bhartī haiñ gāgareñ bhī adāoñ ke saath saath
yuuñ to maiñ is dayār se kuchh bhī na lā sakā
kuchh ḳhaak lag ke aa ga.ī paañv ke saath saath