qarīb thā ki harārat se jal uThā hotā
diyā hathelī pe kuchh vaqt agar rukā hotā
banāyā jaatā agar Tahniyoñ se pinjre ko
qafas meñ kuchh to parindoñ ko aasrā hotā
tumhāre juuḌe meñ hai is liye salāmat hai
ye phuul shāḳh pe pazhmurda ho gayā hotā
ḳhudā kā shukr ki nisbat qalam se hai varna
hamāre haath bhī bārūd lag chukā hotā
bilaktā bachcha kahāñ baap se sambhaltā hai
jo hotī maañ to use chup karā liyā hotā
tujhe lagī hī nahīñ ishq kī havā 'tāsīr'
vagarna tujh meñ koī aur boltā hotā