na butoñ ke na ab ḳhudā ke rahe
ham kahīñ ke na dil lagā ke rahe
fitne kyā kyā na vo uThā ke rahe
ham bhī kūche meñ un ke jā ke rahe
kar ga.ī vo nigāh apnā kaam
ham bharose pe ittiqā ke rahe
naam merā jahāñ likhā paayā
zid to dekho ki vo miTā ke rahe
us ne har-chand uzr-e-ḳhvāb kiyā
hāl-e-dil ham magar sunā ke rahe
le uḌā un ko shauq ġhair ke ghar
ham tajassus meñ naqsh-e-pā ke rahe
apnī hastī hai is tarah 'raunaq'
jaise koī sarā meñ aa ke rahe