Raunaq Tonkvi

hum un ko haal-e-dil apna sunae jate hain

Raunaq Tonkvi

ham un ko hāl-e-dil apnā sunā.e jaate haiñ
vo baiThe sunte haiñ aur muskurā.e jaate haiñ
vo bād-e-qatl bhī ḳhanjar lagā.e jaate haiñ
shahīd-e-nāz kī shaukat baḌhā.e jaate haiñ
ḳhamosh mahfil-e-a.adā meñ duur baiThe haiñ
ġhazab hai to bhī vo ā.ankhoñ meñ khaa.e jaate haiñ
ye infi.āl hai kis kis jafā-garī ke evaz
ki baat baat meñ vo muñh chhupā.e jaate haiñ
samajh hai gayā maiñ kahūñgā na kuchh ḳhudā kī qasam
sharāb aap mujhe kyuuñ pilā.e jaate haiñ
ye bazm-e-yār meñ hai qadr-o-manzilat 'raunaq'
ki aa.e koī vahāñ ham uThā.e jaate haiñ
Top Urdushayar.com