vo jab bhī pukāregā yahāñ aan raheñge
ham ḳhāk-nashīñ be-sar-o-sāmān raheñge
hañgām-e-jahāñ tujh meñ pareshān raheñge
yā dasht-e-tilismāt meñ hairān raheñge
saaya bhī yahāñ duur zarā ham se chalegā
ye shahr hī aisā hai ki anjān raheñge
ai aql nahīñ ā.eñge bātoñ meñ tirī ham
nādān the nādān haiñ nādān raheñge
sun ḳhū-e-tarab shahr-e-nigārāñ kī taraf jā
ham ahl-e-junūñ sū-e-bayābān raheñge