Raunaq Tonkvi

nusKHe mein tabibon ne likha aur hi kuchh hai

Raunaq Tonkvi

nusḳhe meñ tabīboñ ne likhā aur hī kuchh hai
bīmār-e-mohabbat kī davā aur hī kuchh hai
aġhyār se thiiñ mere satāne kī salāheñ
aur maiñ ne jo pūchhā to kahā aur hī kuchh hai
kahte haiñ vo ghabrā ke mujhe dekh ke ġhash meñ
mar jā.eñge ye in ko huā aur hī kuchh hai
māñge koī daulat koī izzat koī jannat
aur āshiq-e-be-dil kī duā aur hī kuchh hai
a.adā kī mulāqāt se inkār musallam
kyā kahiye magar ham ne sunā aur hī kuchh hai
har-chand qayāmat hai tirī chashm kī shoḳhī
shoḳhī meñ magar rañg-e-hayā aur hī kuchh hai
haañ zamzama-e-bulbul-o-qumrī na pe jaanā
'raunaq' dil-e-nādāñ kī sadā aur hī kuchh hai
Top Urdushayar.com