na bāteñ kiiñ na taskīñ dī na pahlū meñ zarā Thahre
jo tum aa.e to kyā aa.e jo tum Thahre to kyā Thahre
kis kā rañg-e-ulfat kyā jame vaañ ye bhī mushkil hai
ki un ke dast o pā meñ ek dam rañg-e-hinā Thahre
dil-e-muztar ba-shakl-e-barq dam lene nahīñ detā
mujhe ārām aa jaa.e jo pahlū meñ zarā Thahre
vafādārī huī be-kār marnā khel aa Thahrā
ḳhudā jaane ki ab kyā rañg-e-ā.īn-e-vafā Thahre
dimāġh aisā hī kuchh nāzuk jaleñ aaise hī kuchh bad-go
kahūñ ik harf-e-matlab aur vaañ ik mājrā Thahre
chaman meñ aag sī pairāhan-e-gul se bhaḌak uTThī
fuġhāñ se ek dam to bulbul-e-ātish-navā Thahre
agar jaanā hī Thahrā hai to achchhā dil bhī le jaao
kisī pahlū kisī sūrat to jān-e-mubtelā Thahre
kabhī shaad hī kabhī ġham hai kabhī kuchh aur aalam hai
dil ik mehmāñ-sarā hai is meñ 'raunaq' koī aa Thahre