dil tak ho chaak teġh jo sar par lagā.iye
āshiq huuñ haath soch-samajh kar lagā.iye
chehre pe nāzukī se na aa.e kahīñ gazand
ruḳhsār se na aap gul-e-tar lagā.iye
saaqī ke lutf-e-ḳhās kī ta.azīm hai zarūr
āñkhoñ se jām-e-bāda-e-ahmar lagā.iye
hai jī meñ bahr-e-nūr-e-nigah us kī ḳhāk-e-pā
surma kī jā agar ho mayassar lagā.iye
ye dil meñ hai ki chhoḌ ke 'raunaq' jahān ko
kūche meñ us nigār ke bistar lagā.iye