hai zer-e-zamīñ saaya to bālā-e-zamīñ dhuup
duniyā bhī do-rañgī hai kahīñ chhāñv kahīñ dhuup
hai nūr-e-ruḳh-e-yār zamāne meñ firozāñ
kahte haiñ ġhalat sab ye nahīñ dhuup nahīñ dhuup
is tarah kī zid hai use har baat meñ mujh se
kahtā huuñ maiñ saaya to vo kahtā hai nahīñ dhuup
allāh-re tire garmi-e-āriz kī sharārat
ḳhurshīd chhupā sharm se niklī na kahīñ dhuup
ham-palla hue yaar kī afshāñ se na 'raunaq'
chamkī to bahut kuchh sifat-e-mahr-e-mubīñ dhuup