Raunaq Tonkvi

aalam mein na kuchh kasrat-e-anwar ko dekhen

Raunaq Tonkvi

aalam meñ na kuchh kasrat-e-anvār ko dekheñ
parde meñ nazar-bāz ruḳh-e-yār ko dekheñ
hairat se mire dekhne ko dekhte haiñ kyā
dekheñ to vo apne lab o ruḳhsār ko dekheñ
rahne deñ mujhe garm-e-fuġhāñ kūche meñ apne
apnī bhī vo kuchh garmi-e-bāzār ko dekheñ
vo us se ziyāda hai to ye us se ziyāda
guftār suneñ us kī ki raftār ko dekheñ
haiñ zulf o ruḳh ai shoḳh tire qātil-e-ālam
kāfir hī ko dekheñ na ye dīñ-dār ko dekheñ
Top Urdushayar.com