āsār-e-junūñ be-sar-o-sāmāñ nahīñ hote
ham shahr-e-tahayyur meñ pareshāñ nahīñ hote
raste meñ tilismāt bichhī jaatī haiñ har dam
ham ḳhū-e-safar sūrat-e-hairāñ nahīñ hote
maazī kī tanāboñ se lage dard ke ḳheme
kyā jāniye kyuuñ dīda-e-imkāñ nahīñ hote
ḳhvāboñ kī havelī se ravāñ shor-e-musalsal
āvāz-e-jaras ke liye zindāñ nahīñ hote
ham zabt kī tārīḳh ke haiñ baab 'rashīdī'
ham zabt kī tārīḳh meñ pinhāñ nahīñ hote