Raunaq Tonkvi

rabt ho ghair se agar kuchh hai

Raunaq Tonkvi

rabt ho ġhair se agar kuchh hai
is taraf bhī magar nazar kuchh hai
be-ḳhabar hai vo har do aalam se
jis ko us shoḳh ko ḳhabar kuchh hai
yaañ koī mājrā-sharīk nahīñ
hai agar kuchh to chashm-e-tar kuchh hai
miT gayā qissa mar gayā āshiq
ho mubārak tumheñ ḳhabar kuchh hai
justujū hai vahīñ vahīñ hai nazar
jalva-rezī jidhar jidhar kuchh hai
hai tamāshā ba-qadr-e-zauq-e-nigāh
dekhtā huuñ jidhar udhar kuchh hai
bad balā hai kisī kisī kī nazar
tum na jaanā ki baam par kuchh hai
azm sū-e-adam to hai 'raunaq'
tosha-e-rāh bhī magar kuchh hai
Top Urdushayar.com