kyā dekhte haiñ aap jhijak kar sharāb meñ
paidā hai aks-e-zulf-e-mo'ambar sharāb meñ
partav-fagan hai chashm-e-fusūñ-gar sharāb meñ
kyā mil gayā hai fitna-e-mahshar sharāb meñ
bad-mastiyoñ ke shauq ne tūfāñ uThā.e haiñ
baiThe haiñ ham bahā.e hue ghar sharāb meñ
tar-dāmanoñ ko ātish-e-dozaḳh se hai najāt
jaama hai shor-bor sarāsar sharāb meñ
be-yār mauj-e-mai hai rag-e-jāñ meñ neshtar
ye jāñ-satāniyāñ haiñ muqarrar sharāb meñ
kuchh qatl meñ bhī chāshnī-e-mai zarūr hai
qātil bujhā ke lā.iyo ḳhanjar sharāb meñ
shīrīñ-kalāmiyāñ haiñ vahāñ vaqt-e-mai-kashī
goyā milā hai qand-e-mukarrar sharāb meñ
kahtā hai rañg-e-ruḳh se tire jauhar-e-sharāb
khilte haiñ husn-e-shoḳh ke jauhar sharāb meñ
mahrūm bazm-e-mai se na phir jaa.e mohtasib
de do koī kabāb Dubo kar sharāb meñ
'raunaq' ne un ke haath se bazm-e-raqīb meñ
ik ḳhūn-e-dil piyā hai milā kar sharāb meñ