Syed Zamin Abbas Kazmi

saron pe bijli giri tar thartharane lage

Syed Zamin Abbas Kazmi

1989
saroñ pe bijlī girī taar thartharāne lage
magar ye giit na.ī nasl ko suhāne lage
ham apne sard savāloñ pe zard haiñ aur aap
javāb ban nahīñ paayā to muskurāne lage
bhalā ho vaqt kā vo rāsta bhaTak ga.ī thī
madad ke rāste ham rāsta banāne lage
vo jis ko aap ne nāyāb panting kahā hai
mujhe to pāñch chhe rañgoñ ke chaar ḳhāne lage
tirī nazar ke badalne se vaqt yuuñ badlā
mire hī faisle mere ḳhilāf jaane lage
Top Urdushayar.com