zarā maza nahīñ aayā kalām kar ke mujhe
kisī ne rok liyā thā salām kar ke mujhe
maiñ is pe ḳhush huuñ mirā dost hai mirā afsar
vo mujh se chār-gunā ḳhush ġhulām kar ke mujhe
safar bhī ab ke garāñ hai bahut tabī.at par
sukūñ bhī pal ko nahīñ hai qayām kar ke mujhe
vo mujh se pūchh rahā thā vafā ke baare meñ
koī sila bhī milegā ye kaam kar ke mujhe