chal aa ki dahr se kizb-o-riyā kashīd kareñ
kisī ke jurm se apnī sazā kashīd kareñ
chal aa ki ham bhī chaleñ paar is adam ke kahīñ
ḳhalā ko ḳhaam banā.eñ havā kashīd kareñ
ham aise ḳhāna-ba-doshoñ kī kyā hadeñ hoñgī
jo vaqt zehn meñ rakh kar jagah kashīd kareñ
chal apne chhoTe se ġham ko baḌhāvā dete raheñ
phir us ke pahlū se karb-o-balā kashīd kareñ
hameñ samajhne parakhne meñ log lag to ga.e
nahīñ hai vasf koī bhī to kyā kashīd kareñ
chal aa bashar ko kisī vasvase meñ jhoñk deñ aur
usī se ḳhauf banā.eñ ḳhudā kashīd kareñ