dushman apnā bhī nahīñ koī fasādī bhī nahīñ
baat idhar kī maiñ udhar karne kā aadī bhī nahīñ
tujh ko dekhā gayā aur der talak parkhā gayā
hijr kā faisla kuchh ġhair-irādī bhī nahīñ
marg-e-ehsās pe is darja ḳhamoshī duniyā
koī elaan nahīñ koī munādī bhī nahīñ
maiñ use zehn meñ har vaqt liye phirtā rahā
jis ne pahlū meñ mujhe apne jagah dī bhī nahīñ
us kī tasvīr banātā rahā jadval kī bajā.e
aur is baar to madam ne sazā dī bhī nahīñ
ye alag baat mirā mas.ala maada hai magar
dekhā jaa.e to mirā mas.ala maadī bhī nahīñ