jaane kab tak qatār meñ raheñge
ham tire intizār meñ raheñge
tum isī baaġh meñ rahoge sadā
ham isī ḳhārzār meñ raheñge
ham bichhaḌne ke ba.ad bhī shāyad
aap ke iḳhtiyār meñ raheñge
kitne manzar dikhā.ī deñge hameñ
aur kitne ġhubār meñ raheñge
haal tafsīl se batāte hue
koshish-e-iḳhtisār meñ raheñge
sher sattar hazār kah Daale
ek do to shumār meñ raheñge
ik tanāza khaḌā kareñge nayā
aur phir ishtihār meñ raheñge