taḳh.īl kā dar khole hue shaam khaḌī hai
goyā koī tasvīr ḳhayāloñ meñ jaḌī hai
har manzar-e-idrāk meñ phir jaan paḌī hai
ehsās-e-farāvāñ hai ki sāvan kī jhaḌī hai
hai vasl kā hañgām ki sailāb-e-tajallī
tūfān-e-tarannum hai ki ulfat kī ghaḌī hai
tahzīb-e-alam kahiye ki irfān-e-ġham-e-zāt
kahne ko to do lafz haiñ har baat baḌī hai
saaya ho shajar kā to kahīñ baiTh ke dam leñ
manzil to bahut duur hai aur dhuup kaḌī hai
siine pe mire vaqt kā ye kaun girāñ hai
neze kī anī yā ki kaleje meñ gaḌī hai
vo merī hī gum-gashta haqīqat to nahīñ hai
raste meñ ka.ī roz se shai koī paḌī hai
har lahza pirotī huuñ bikhar jaate haiñ har baar
lamhāt-e-gurezāñ haiñ ki motī kī laḌī hai
ham aur ḳhudā kā bhī ye ehsān uThāte
insān haiñ kuchh aisī hī baat aan paḌī hai