maarā hameñ is daur kī āsāñ-talbī ne
kuchh aur the is daur meñ jiine ke qarīne
har jaam lahū-rañg thā dekhā ye sabhī ne
kyuuñ shīsha-e-dil chuur thā pūchhā na kisī ne
ab halqa-e-girdāb hī āġhosh-e-sukūñ hai
sāhil se bahut duur Dubo.e haiñ safīne
har lamha-e-ḳhāmosh thā ik daur-e-pur-āshob
guzre haiñ isī taur se saal aur mahīne
maazī ke mazāroñ kī taraf soch ke baḌhnā
ho jāoge māyūs na kho do ye dafīne
har bazm-e-suḳhan jhūTe nagīnoñ kī numā.ish
sartāj-e-suḳhan the jo kahāñ haiñ vo nagīne