Zahida Zaidi

qatra-e-ab ko kab tak meri dharti tarse

Zahida Zaidi

Meerut, Uttar pradesh, India

1930-2011
qatra-e-āb ko kab tak mirī dhartī tarse
aag lag jaa.e samundar meñ to paanī barse
surḳh miTTī kī ridā oḌhe hai kab se ākāsh
na shafaq phūle na rim-jhim kahīñ bādal barse
ham ko khīñche liye jaate haiñ sarāboñ ke bhañvar
jaane kis vaqt meñ ham log chale the ghar se
kis kī dahshat hai ki parvāz se ḳhā.if haiñ tuyūr
qumriyāñ shor machātī nahīñ kis ke Dar se
chār-sū kūcha-o-bāzār meñ mahshar hai bapā
ḳhauf se log nikalte nahīñ apne ghar se
muḌ ke dekhā to hameñ chhoḌ ke jaatī thī hayāt
ham ne jaanā thā koī bojh girā hai sar se
Top Urdushayar.com