kahāñ tak kāvish-e-isbāt-e-paiham
kahāñ tak zaḳhm-e-dil tadbīr-e-marham
sukūt-e-shab hujūm-e-nā-umīdī
shumār-e-dāġh-hā-e-zīst aur ham
kabhī aalam ġhubār-e-chashm-e-hairāñ
kabhī vo ik nigah aur ek aalam
baḌhāo jur.at-e-afkār kī lau
abhī hai garmī-e-bazm-e-junūñ kam
dahakne do abhī dāġhoñ se mahfil
chhalakne do abhī paimāna-e-ġham
ye kis manzil pe le aa.ī tamannā
ki bas ik dard-e-tanhā.ī hai mahram