nazar aate nahīñ haiñ bahr meñ ham
ya.anī rahte haiñ apnī lahr meñ ham
khul rahe haiñ bañdhe hue pul se
ghul rahe haiñ ḳhud apne zahr meñ ham
hai qafas bhī tilism-ḳhāna-e-ḳhvāb
aa ga.e ek aur shahr meñ ham
kisī zindāñ meñ sochnā hai abas
dahr ham meñ hai yā ki dahr meñ ham
ho ga.ī raat so leñ kuchh sardār
jaag uTTheñge pichhle pahr meñ ham
ham haiñ maqtal meñ aur qātil ġham
kaise laa.e ga.e the qahr meñ ham
ab jagā.egī yaad us kī 'zafar'
chhoḌ aa.e jo niiñd nahr meñ ham