Aman Chandpuri

dasht mein pyasi bhaTak kar tishnagi mar jaegi

Aman Chandpuri

Chandpur, Uttar pradesh, India

1997
dasht meñ pyāsī bhaTak kar tishnagī mar jā.egī
ye huā to ziist kī ummīd bhī mar jā.egī
rok sakte ho to roko maz.habī takrār ko
ḳhuun yuuñ bahtā rahā to ye sadī mar jā.egī
phir usī kūche meñ jaane ke liye machlā hai dil
phir usī kūche meñ jā kar be-ḳhudī mar jā.egī
bolnā behad zarūrī hai magar ye soch lo
chīḳh jab hogī ayaañ to ḳhāmushī mar jā.egī
nafratoñ kī tīrgī phailī huī hai har taraf
pyaar ke dīpak jaleñ to tīrgī mar jā.egī
ranj-o-ġham se rābta merā na TuuTe ai ḳhudā
yuuñ huā to merī puurī shā.irī mar jā.egī
dostoñ se be-ruḳhī achchhī nahīñ hotī 'aman'
dūriyāñ zinda rahīñ to dostī mar jā.egī
Top Urdushayar.com