sone kī koshisheñ to bahut kī ga.iiñ magar
kyā kījiye jo niiñd se jhagḌā ho raat bhar
maiñ ne ḳhud apnā saaya hī bāñhoñ meñ bhar liyā
us kā ḳhumār chhāyā thā mujh pe kuchh is qadar
āñkhoñ meñ chand ḳhvāb the aur dil meñ kuchh umiid
jaltā rahā maiñ aag kī mānind umr bhar
kyoñ koī us pe Daale nazar ehtirām kī
kahlā.e ilm-o-fan meñ jo yaktā na mo'atabar
pal meñ tamām ho gayā qissa hayāt kā
us kī nigāh mujh pe rahī itnī muḳhtasar
dushvāriyoñ se zindagī āsāñ huī mirī
dushvāriyoñ kā ḳhauf gayā zehn se utar
ham ne suḳhan meñ koī izāfa nahīñ kiyā
gesū ġhazal ke sirf sañvāre haiñ umr bhar
ilm-o-hunar mile haiñ magar tere sāmne
pahle bhī be-hunar the 'aman' ab bhī be-hunar