laakh parde se ruḳh-e-anvar ayaañ ho jā.egā
parda khul jā.egā har parda katāñ ho jā.egā
jauhar-e-teġh-e-isālat sab ayaañ ho jā.egā
imtihāñ ke vaqt apnā imtihāñ ho jā.egā
tū agar ai maah aa niklā kisī din bād-e-marg
parda-e-ḳhāk-e-mazār apnā katāñ ho jā.egā
pech zulfoñ ke jo khul jā.eñge rū-e-yār par
sumbul-e-tar ātish-e-gul kā dhuāñ ho jā.egā
tū vo gul-rū hai ki tujh ko dekh kar niklegī jaan
bulbul-e-rūh o ravāñ be-āshiyāñ ho jā.egā
rū-e-rañgīñ kī hikāyat nazm agar karne lageñ
'barq' sab dīvāñ hamārā bostāñ ho jā.egā