Mirza Raza Barq

dekhi jo zulf-e-yar tabiat sambhal gai

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
dekhī jo zulf-e-yār tabī.at sambhal ga.ī
aa.ī huī balā mire sar par se Tal ga.ī
pūchhā agar kisī ne mirā aa ke hāl-e-dil
be-iḳhtiyār aah laboñ se nikal ga.ī
uryāñ harārat-e-tap-e-furqat se maiñ rahā
har baar mere jism kī poshāk jal ga.ī
kaifiyat-e-bahār jo yaad aa.ī zer-e-ḳhāk
dāġh-e-junūñ se apnī tabī.at bahal ga.ī
us ke dahān-e-tañg kī tañgī na pūchhiye
ejaaz samjhe baat jo muñh se nikal ga.ī
furqat meñ ham-baġhal jo huā 'barq' gor se
hasrat visāl-e-yār kī dil se nikal ga.ī
Top Urdushayar.com