chāñd sā chehra jo us kā āshkārā ho gayā
tan pe har qatra pasīne kā sharārā ho gayā
chhup sakā dam bhar na rāz-e-dil firāq-e-yār meñ
vo nihāñ jis dam huā sab āshkārā ho gayā
jis ko dekhā chashm-e-vehdat se vahī māshūq hai
paḌ ga.ī jis par nazar us kā nazārā ho gayā
ham-kinārī kī havas ai gauhar-e-yaktā ye hai
aab ho kar ġham se dil dariyā hamārā ho gayā
ḳhalq meñ gard-e-yatīmī se guhar kī qadr hai
ḳhāksārī se fuzūñ rutba hamārā ho gayā
dil meñ hai ai 'barq' us but ke dar-e-dandāñ kī yaad
ye guhar arsh-e-barīñ kā goshvāra ho gayā