kis tarah mileñ koī bahānā nahīñ miltā
ham jā nahīñ sakte unheñ aanā nahīñ miltā
phirte haiñ vahāñ aap bhaTaktī hai yahāñ ruuh
ab gor meñ bhī ham ko Thikānā nahīñ miltā
badnām kiyā hai tan-e-anvar kī safā ne
dil meñ bhī use raaz chhupānā nahīñ miltā
daulat nahīñ kaam aatī jo taqdīr burī ho
qārūn ko bhī apnā ḳhazānā nahīñ miltā
āñkheñ vo dikhāte haiñ nikal jaa.e agar baat
bosa to kahāñ hoñT hilānā nahīñ miltā
tāqat vo kahāñ jaa.eñ tasavvur meñ jo ai 'barq'
barsoñ se hameñ hosh meñ aanā nahīñ miltā