be-bulā.e hue jaanā mujhe manzūr nahīñ
un kā vo taur nahīñ merā ye dastūr nahīñ
lan-tarānī ke ye ma.anī haiñ bajā hai daavā
dekhe be-parda tujhe koī ye maqdūr nahīñ
vo kahāñ taaj kahāñ taḳht kahāñ maal o manāl
qābil ab bhiik ke bhī kāsa-e-faġhfūr nahīñ
be-ibādat na ḳhudā baḳhshegā sub.hān-allāh
aisī firdaus se ham guzre ki mazdūr nahīñ
maiñ vo mai-kash huuñ na rakkhūñ kabhī bhūle se qadam
koī kah de ye agar ḳhuld meñ añgūr nahīñ
dam-ba-dam uThte haiñ tūfān jo 'barq' ashkoñ ke
nuuh kā vaqt nahīñ aañkh hai tannūr nahīñ