Mirza Raza Barq

parda ulaT ke usne jo chehra dikha diya

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
parda ulaT ke us ne jo chehrā dikhā diyā
rañg-e-ruḳh-e-bahār-e-gulistāñ uḌā diyā
vahshat meñ qaid-e-dair-o-haram dil se uTh ga.ī
haqqā ki mujh ko ishq ne rastā batā diyā
phir jhāñk-tāk āñkhoñ ne merī shurūa kī
phir ġham kā mere nāloñ ne laggā lagā diyā
añgḌā.ī donoñ haath uThā kar jo us ne lī
par lag ga.e paroñ ne parī ko uḌā diyā
sīkhī hai us javān ne pīr-e-falak kī chaal
hir-phir ke mujh ko ḳhaak meñ āḳhir milā diyā
vo sair ko jo aa.e to sadqe meñ un ko 'barq'
har ek gul ne tā.ir-e-nik.hat uḌā diyā
Top Urdushayar.com