Mirza Raza Barq

na koi un ke siwa aur jaan-e-jaan dekha

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
na koī un ke sivā aur jān-e-jāñ dekhā
vahī vahī nazar aa.egā jahāñ jahāñ dekhā
bahisht meñ bhī usī huur ko ravāñ dekhā
yahāñ jo dekh chuke the vahī vahāñ dekhā
ḳhizān-e-umr kujā o kujā bahār-e-shabāb
falak ko rashk huā koī jab javāñ dekhā
ga.e jahān se jo log do jahāñ se ga.e
kisī ne phir na kabhī apnā kārvāñ dekhā
jalāyā bazm meñ har roz sham.a ke mānind
hazāroñ bāteñ sunā.īñ jo be-zabāñ dekhā
qayāmat aa.ī ye taḌpā firāq meñ ai 'barq'
na phir zamīn ko paayā na āsmāñ dekhā
Top Urdushayar.com