matlab na kaabe se na irāda kanisht kā
pāband ye faqīr nahīñ sañg-o-ḳhisht kā
sarsabz huuñ jo aap dikhā diije ḳhat-e-sabz
kushtoñ ko khet meñ abhī aalam ho kisht kā
us huur kī jo gulshan-e-āriz kī yaad thī
dekhā kiyā firāq meñ aalam bahisht kā
kyā munshi-e-azal kī ye san.at hai dekhnā
māhir nahīñ kisī kī koī sarnavisht kā
nādān e'tirāz hai saane pe ġhaur kar
bejā hai imtiyāz yahāñ ḳhuub o zisht kā
ai 'barq' sair karte haiñ ham to jahān kī
har kūcha-e-sanam hai namūna bahisht kā