na rahe naama o paiġhām ke laane vaale
ḳhaak ke nīche ga.e arsh ke jaane vaale
kishvar-e-ishq kī rasmeñ ajab ulTī dekhīñ
saltanat karte haiñ sab dil ke churāne vaale
mun.imo ālam-e-duniyā hai sarā-e-ibrat
jā.eñge sū-e-adam ḳhalq meñ aane vaale
boriyā saath na jā.egā na taḳht-e-sultāñ
sab barābar haiñ bashar ḳhalq se jaane vaale
koī baaqī na rahā hai na rahegā koī
be-nishāñ ho ga.e sab shaan dikhāne vaale
na sikandar hai na daarā hai na qaisar hai na jam
be-mahal ḳhaak meñ haiñ qasr banāne vaale
apne ash.ār kā ai 'barq' na kyuuñ shohra ho
saath haiñ tā.ir-e-mazmūñ ke uḌāne vaale