Mirza Raza Barq

misal-e-tar-e-nazar kya nazar nahin aata

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
misāl-e-tār-e-nazar kyā nazar nahīñ aatā
kabhī ḳhayāl meñ mū-e-kamar nahīñ aatā
hamāre aib ne be-aib kar diyā ham ko
yahī hunar hai ki koī hunar nahīñ aatā
muhāl hai ki mire ghar vo raat ko aa.e
ki shab ko mehr-e-daraḳhshāñ nazar nahīñ aatā
tamām ḳhalq meñ rahtī hai dhuup rātoñ ko
vo mehr baam se jab tak utar nahīñ aatā
muhāl hai ki jahannam meñ ḳhuld se jaa.eñ
jo dar par aap ke jaatā hai ghar nahīñ aatā
hamārī ziist meñ the saath kaun kaun ai 'barq'
ab ek fātiha ko qabr par nahīñ aatā
Top Urdushayar.com