Mirza Raza Barq

rang se pairahan-e-sada hinai ho jae

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
rañg se pairahan-e-sāda hinā.ī ho jaa.e
pahne zanjīr jo chāñdī kī talā.ī ho jaa.e
ḳhud-faroshī ko jo tū nikle ba-shakl-e-yūsuf
ai sanam terī ḳharīdār ḳhudā.ī ho jaa.e
ḳhat-e-to.am kī tarah āshiq o māshūq haiñ ek
donoñ bekār haiñ jis vaqt judā.ī ho jaa.e
tañgi-e-gosha-e-uzlat hai bayāñ se bāhar
nahīñ imkān ki chyūñTī kī samā.ī ho jaa.e
yahī har uzv se aatī hai sadā furqat meñ
vaqt ye vo hai judā bhaa.ī se bhaa.ī ho jaa.e
apnī hī aag meñ ai 'barq' jalā jaatā huuñ
unsur-e-ḳhāk ho turbat jo laḌā.ī ho jaa.e
Top Urdushayar.com