Mirza Raza Barq

lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
lab-e-rañgīñ se agar tū guhar-afshāñ hotā
lucknow lāloñ ke mādan se badaḳhshāñ hotā
ai parī tū vo parī hai ki tirī dekh ke shakl
har farishta kī tamannā hai ki insāñ hotā
rah gayā parda mirā varna tire jaate hī
na ye dāman nazar aatā na garebāñ hotā
aa nikaltā kabhī zāhid jo tirī mahfil meñ
haath meñ shīsha-e-mai taaq pe qur.āñ hotā
ḳhair guzrī jo khule bāloñ ko us ne bāñdhā
varna majmūa anāsir kā pareshāñ hotā
mar gayā zulf kī maiñ pech uThā kar ai 'barq'
kyuuñ na afsāna mirā ḳhvāb-e-pareshāñ hotā
Top Urdushayar.com