asar zulf kā barmalā ho gayā
balāoñ se mil kar balā ho gayā
junūñ le ke hamrāh aa.ī bahār
na.e sir se phir valvalā ho gayā
diyā ġhair ne bhī dil āḳhir use
mujhe dekh kar man-chalā ho gayā
samā.ī dil-e-tañg kī dekhiye
ki aalam meñ sābit ḳhalā ho gayā
ta.allī zamīñ se jo nāloñ ne kī
falak par ayaañ zalzala ho gayā
huā qatl be-jurm maiñ jā ke 'barq'
vo kūcha mujhe karbalā ho gayā