Mirza Raza Barq

wahshat mein bhi ruKH jaanib-e-sahra na karenge

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
vahshat meñ bhī ruḳh jānib-e-sahrā na kareñge
jab tak ki tumheñ shahr meñ rusvā na kareñge
ghabrā ga.e betābi-e-dil dekh ke ai jaan
Thahro to abhī hijr meñ kyā kyā na kareñge
mar jā.ūñ to mar jā.ūñ burā māneñ to māneñ
phir kaise masīhā haiñ jo achchhā na kareñge
vo husn meñ kāmil haiñ to ham sabr meñ yaktā
tā umr kabhī zikr bhī un kā na kareñge
chhup chhup ke kaheñge jo chhupāne ke suḳhan haiñ
ham tum se kisī baat kā parda na kareñge
badnāmī se Darte ho abas ishq meñ ai 'barq'
kab tak bashar is baat kā charchā na kareñge
Top Urdushayar.com