Mirza Raza Barq

zer-e-zamin hun tishna-e-didar-e-yar ka

Mirza Raza Barq

Lucknow, Uttar pradesh, India

1790-1857
zer-e-zamīñ huuñ tishna-e-dīdār-e-yār kā
aalam vahī hai aaj talak intizār kā
guzrā sharāb piine se le kaun dard-e-sar
saaqī dimāġh kis ko hai ranj-e-ḳhumār kā
mahshar ke roz bhī na khulegī hamārī aañkh
sadma uThā chuke haiñ shab-e-intizār kā
ibrat kī jā hai ālam-e-duniyā na kar ġhurūr
sar kāsa-e-gadā hai kisī tājdār kā
bād-e-fanā bhī hai maraz-e-ishq kā asar
dekho ki rañg zard hai mere ġhubār kā
ulfat na kuchh parī se na kuchh huur se hai ishq
mushtāq 'barq' roz-e-azal se hai yaar kā
Top Urdushayar.com