maiñ agar rone lagūñ rutba-e-vālā baḌh jaa.e
paanī dene se nihāl-e-qad-e-bāla baḌh jaa.e
josh-e-vahshat yahī kahtā hai nihāyat kam hai
do jahāñ se bhī agar vus.at-e-sahrā baḌh jaa.e
qumriyāñ dekh ke gulzār meñ dhoka khā.eñ
tauq minnat kā jo ai sarv-e-tamannā baḌh jaa.e
haath par haath agar maar ke dauḌūñ bāham
rāh-e-ulfat meñ qadam qais se merā baḌh jaa.e
daaġh par daaġh se ai 'barq' mujhe rāhat hai
dard kam ho to shab-e-hijr meñ iizā baḌh jaa.e