hairān saarā shahr thā jis kī uḌaan par
panchhī vo phaḌ phaḌā ke girā sā.ebān par
shāyad usī se zehan kā jañgal mahak uThe
lafzoñ ke gul khilā.iye shāḳh-e-zabān par
kis dil kī raakh juzv-e-rag-e-sañg ho ga.ī
sūraj-mukhī kā phuul khilā hai chaTān par
ik din use zamīñ kī kashish khīñch lā.egī
kab tak rahegā terā ḳhayāl āsmān par
āvāz kī mahak na kabhī qaid ho sakī
pahre lage hazār guloñ kī zabān par