Hazin Ludhianvi

qalb ko barf-ashna na karo

Hazin Ludhianvi

qalb ko barf-āshnā na karo
gul kisī taur ye diyā na karo
zindagī bhī hai ek marg-e-davām
tum jo jiine kā haq adā na karo
jis meñ phūloñ pe paañv dharnā paḌe
iḳhtiyār aisā rāsta na karo
zahr pī jaao bāñkpan ke saath
zahr chakhne kā tajraba na karo
gur sikhā.e jo jang-bāzī ke
aisī dānish ko rahnumā na karo
zulm to zālimoñ kā sheva hai
qahr hai tum jo tajziya na karo
sab ḳhizāñ zaade kah rahe haiñ 'hazīñ'
yaañ pe zikr-e-gul-o-sabā na karo
Top Urdushayar.com