umr bhar bahte haiñ ġham ke tund-rau dhāroñ ke saath
jaane kyuuñ hote haiñ itne zulm fankāroñ ke saath
abr kī sūrat baraste haiñ buland-o-past par
ham nahīñ aañsū bahāte lag ke dīvāroñ ke saath
zehn ke parde pe raqsinda haiñ pyāsī sūrateñ
ham nashe meñ kaise bah sakte haiñ mai-ḳhvāroñ ke saath
roz ḳhūn-e-ārzū hotā hai phir bhī pyaar hai
ham ko ai hastī tire dilchasp bāzāroñ ke saath
ham-safar hai ḳhāk-o-bād-o-ātish-o-āb ai 'hazīñ'
kaash nibh jaa.e hamārī ab inhī chāroñ ke saath