mire kalām meñ pechīda isti.āra nahīñ
ki harf-e-sidq chhupānā mujhe gavārā nahīñ
mire liye yahī maujeñ haiñ dāman-e-iliyās
bhañvar meñ huuñ mire donoñ taraf kināra nahīñ
duā.eñ māñgtā huuñ sub.h ke ujāloñ kī
añdherī vasl kī shab bhī mujhe gavārā nahīñ
tire mizāj ke resham meñ kaise aag lagī
mirī ġhazal kā ḳhunuk lafz to sharāra nahīñ
dil-o-dimāġh ko kyā degā raushnī vo 'hazīñ'
na.ī hayāt kā jo lafz goshvāra nahīñ